Tuesday, September 03, 2013

یار کو ہم نے جا بجا دیکھا

Afsos huwa keh is ka aSl Urdu mawaad google waGHaerah ke ilm meiN naheeN hai, lihaazah hamaari pahoNch se baahar hai. Romi Urdu taehreer is jagah hai, lekin GHaaleban laaparwaahi ki shikaar hai :(

maiN ne apni behtareen koshish karke durust karne ki gustaaKHi ki hai. meri qaari'een se bazaate-KHud sunne aor apni aaraa se nawaazne ki guzaarish hai.

ZOOM

yaar ko ham ne ja ba-ja dekha | kaheeN zaahir kaheeN chhupa dekha

kaheeN mumkin huwa kaheeN waajib | kaheeN faani kaheeN baqa dekha

kaheeN woh baadshaahe-taKHt nasheeN | kaheeN kaasah liye gada dekha

kaheeN woh dar libaase-maAshooqaaN | bar-sare naaz aor ada dekha

kaheeN aashiq niyaaz ki soorat | seenah biryaaN wo dil jaza dekha

Aawaaz Aabidah parweeN - Youtube

3 Comments:

At 8:26 AM , Blogger کائناتِ تخیل said...

یار کو ہم نے جا بجا دیکھا
کہیں ظاہر کہیں چھپا دیکھا

کہیں ممکن ہوا کہیں واجب
کہیں فانی کہیں بقا دیکھا

دید اپنے کی تھی اسے خواہش
آپ کو ہر طرح بنا دیکھا

صورتِ گُل میں کھل کھلا کے ہنسا
شکلِ بلبل میں چہچہا دیکھا

شمع ہو کر کے اور پروانہ
آپ کو آپ میں جلا دیکھا

کر کے دعویٰ کہیں انالحق کا
بر سرِ دار وہ کھنچا دیکھا

تھا وہ برتر شما و ما سے نیاز
پھر وہی اب شما و ما دیکھا

کہیں ہے بادشاہِ تخت نشیں
کہیں کاسہ لئے گدا دیکھا

کہیں عابد بنا کہیں زاہد
کہیں رندوں کا پیشوا دیکھا

کہیں وہ در لباسِ معشوقاں
بر سرِ ناز اور ادا دیکھا

کہیں عاشق نیاز کی صورت
سینہ بریاں و دل جلا دیکھا

 
At 1:55 PM , Blogger urdudaaN said...

moHtarmah!
aapka bahot shukriyah
bataore-KHaas "aeraab" keliye mamnoon hooN.

maiN ne "giryaaN" ko "biryaaN" se tabdeel kardiya hai. lekin "dil jala" ke bajaae mujhe ab bhi "dil jaza" hi sunaa'ee deta hai.

"kaheeN hai badshaah" meiN GHaleban 'hai' naheeN 'woh' maozooN hai, aor mujhe 'woh' sunai deta hai.

mazeed tafteesh jaari hai. :)

 
At 5:06 AM , Blogger yanmaneee said...

moncler jackets
fitflop
coach handbags
kyrie 5
christian louboutin
kd shoes
moncler jacket
yeezy boost 350 v2
kd 12 shoes
reebok shoes

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home